dar pe rahe ye dida-e-giryan tamam-umr
lekin bujhi na atish-e-hijran tamam-umr
Daala hai us ko jazb-e-mohabbat ne chaah men
dekha na jis ne tha kabhi zindan tamam-umr
vaaq.e men ye hai harf-e-shikayat bhi kya kahen
nikla na koi jo mira arman tamam-umr
pamal ko bhi ham ne kiya apna ham-jalis
chhana kiya main ḳhak-e-bayaban tamam-umr
raton ko mere vaste uThta hai baar baar
bhulunga dard-e-dil ka na ehsan tamam-umr
kya mujh ko apni yaad se ḳhilqat ne kho diya
samjha kiya main aap ko insan tamam-umr
‘arif’ likhen hain is men mazamin-e-intishar
hovega jam.a mera na divan tamam-umr
Leave a Reply