ankhon men jo ek ḳhvab sa hai
aalam kya kya dikha raha hai
aalam ik intizar ka hai
khulta nahin intizar kya hai
qatra qatra jo pi chuka hai
dariya dariya pukarta hai
kya kah ga.i zindagi ki aahaT
jo hai kisi soch men khaḌa hai
ai mauj-e-nasim-e-sub.h-gahi
har ghunche ka dil dhaḌak raha hai
tum aur zara qarib aa jaao
ḳhanjar rag-e-jan tak aa gaya hai
hai didani rang-e-ru-e-qatil
har zaḳhm javab mangta hai
ai dasht-e-junun gavah rahna
kanTe hain aur ik barahna-pa hai
asar achchhe nahin shab-e-hijr
dil ko kuchh qarar sa hai
lafzon ko zaban mil rahi hai
shayad ‘aḳhtar’ ghazal-sara hai
Leave a Reply