matam bahut raha mujhe ashk-e-chakida ka
akhir ko paas aa hi gaya nuur diida ka
nam-firaq phir na liya main ne umr-bhar
tha zaiqa zaban pe azab-e-chashida ka
ab vo maza nahin lab-e-shirin ke qand men
chusa hua hai ye kisi khidmat-rasida ka
ai charkh-e-pir-zor javani se dar-guzar
ab paas chahiye tujhe pusht-e-khamida ka
abru men kham jabin men shikan aankh men ghazab
kya muddaa hai qatil-e-khanjar-kashida ka
daulat gharaz na thi jo dua se hui husul
tha aur muddaa mire dast-e-kashida ka
ai sakinan-e-charkh-e-mualla bacho bacho
tufan hua buland mire ab-dida ka
vo na-tavaniyan hain ki jism-e-zaif par
jaama hai ankabut ke dam-e-tanida ka
be-did diid men nahin aate kisi tarah
gham ashiyan hai tair-e-rang-parida ka
udte hain hosh koi bhala kis tarah sune
afsana tere vahshi-e-az-khud-ramida ka
o gul khayal hai araq-e-jism ka tire
shisha hai dil hamara gulab-e-chakida ka
yad-e-nigah-e-mast se hai dil ko intishar
paimana hai kharab sharab-e-chakida ka
qatil khuda se dar havas-e-zabh ta-kuja
naala na sun kisi ke gulu-e-burida ka
masti ke valvalon ka javani men lutf hai
piiri men dhyan chahiye qadd-khamida ka
jalve dikha raha hai ye farsh-e-zamurradin
sabza mazar par hai giyah-e-damida ka
chadhti hai roz chadar-e-gul jalte hain charagh
ye dher hai zarur kisi barguzida ka
balon ko ai ‘nasim’ rangoge khizab se
sak ko asa banaoge pusht-e-khamida ka
Leave a Reply