ḳhud hi par zulm Dhaya ja raha hai
zamane se nibhaya ja raha hai
hamari ankhon se bina.i le kar
hamen manzar dikhaya ja raha hai
ma.ani ḳhaak hote ja rahe hain
ḳhayal itna pakaya ja raha hai
sar-e-mimbar ikaTTha hain qalandar
faqiri ko bhunaya ja raha hai
vahan se bhi uThaya tha hamen ab
yahan se bhi uThaya ja raha hai
yahan pe sher kahna yuun hai jaise
diya din men jalaya ja raha hai
Leave a Reply