hai koi aur bhi jahan men kya
main nahin huun tire guman men kya
tu ne fitrak saath to rakha
tiir bhi hai tiri kaman men kya
ek saaya tha dil men vo bhi bujha
rah gaya hai ab is makan men kya
zer-e-saya hai aur sabhi duniya
ham nahin hain tiri amaan men kya
koi bhi tujh se baat karta nahin
zahr sa hai tiri zaban men kya
Leave a Reply