liya hai kis qadar sakhti se apna imtihan ham ne
ki ik talvar rakh di zindagi ke darmiyan ham ne
hamen to umr bhar rahna tha khvabon ke jaziron men
kinaron par pahunch kar phunk dalin kashtiyan ham ne
hamare jism hi kya saae tak jismon ke zakhmi hain
dilon men ghonp liin hain raushni ki barchhiyan ham ne
hamen di jaegi phansi hamare apne jismon men
ujadi hain tamannaon ki lakhon bastiyan ham ne
vafa ke naam par paira kiye kachche ghade le kar
duboya zindagi ko dastan-dar-dastan ham ne
Leave a Reply