alava ik chubhan ke kya hai khud se rabta mera
bikhar jaata hai mujh men tuut ke har aina mera
ulajh ke mujh men apne-ap ko suljha raha hai jo
na jaane khatm kar baithe kahan par silsila mera
mujhe chakhte hi kho baitha vo jannat apne khvabon ki
bahut milta hua tha zindagi se zaiqa mera
main kal aur aaj men haael koi nadida vaqfa huun
mire khvabon se naapa ja raha hai fasla mera
vo kaisa shahr tha manus bhi tha ajnabi bhi tha
ki jis ki ik gali men kho gaya mujh se pata mera
palat aata hai har din ghar ki janib shaam dhalte hi
kisi be-nam basti se guzar ke rasta mera
ye main huun ya mira saaya mira saaya hai ya main huun
ajab si dhund men lipta hua hai hafiza mera
hansi aai thi apni bebasi par ek din mujh ko
abhi tak gunjta hai mere andar qahqaha mera