jab mire nazdīk sūraj meñ kamī paidā huī
phir añdheroñ ke shahar meñ raushnī paidā huī
jab sadā-e-kun lagā kar vo zarā fāriġh huā
phir ḳhudā kī shaan meñ ye shā.irī paidā huī
maiñ ne lafzoñ ko pilā.ī hai tirī jhūTī sharāb
tab kahīñ ġhazloñ meñ apnī chāshnī paidā huī
do musāfir phāñd baiThe ajnabiyyat kā mazār
dekhte hī dekhte phir dostī paidā huī
merā rishta kuchh na thā vahshat tire ajdād se
phir mire ghar kyoñ ye lailā sī parī paidā huī