zindagi men yuun to har ik hadisa nagah tha
jism ke parchhain banne ka amal jan-kah tha
ab to saare dasht-o-dariya in nigahon men rahen
din gae zauq-e-safar men jab koi gumrah tha
khali-pan apni jagah kuchh talkhiyan rakhta to hai
khokhle-pan se rifaqat ke bhi dil agah tha
tevar-e-dariya ka shikva hai na tufan ka gila
meri parvaren khafa thiin badban bad-khvah tha
ajnabiyyat aa gai hai mujh men thodi si to kya
ye zamana bhi miri janib se la-parvah tha
Leave a Reply