be-vafaon ko vafaon ka ḳhuda ham ne kaha
kya hamen kahna tha ai dil aur kya ham ne kaha
lab ko ghuncha zulf ko kali-ghaTa ham ne kaha
dil ne ham ko jo bhi kahne ko kaha ham ne kaha
kis qadar majbur honge us ghaḌi ham ai ḳhuda
jab tire be-faiz bandon ko ḳhuda ham ne kaha
daad dena tum hamari chashm-poshi ki hamen
raah men jo gum the un ko rahnuma ham ne kaha
jab mariz-e-ishq ko koi dava aa.i na raas
dard hi ko dard ki aḳhir dava ham ne kaha
gir gaya apni nigahon men hi apna sab vaqar
jab sar-e-bazar khoTe ko khara ham ne kaha
Leave a Reply