• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / daman Hai Mera dasht Ka daman dusra

daman Hai Mera dasht Ka daman dusra

poet

daman hai mera dasht ka daman dusra

meri tarah na phade gareban dusra

yak-rang huun main us gul-e-raana ke ishq men

bulbul na huun ki dhundun gulsitan dusra

tha hi gham-e-firaq mila us men dard-e-rashk

muflis ke ghar men aaya ye mehman dusra

teri haya-e-chashm sa dekha nahin raqib

yaan ehtiyaj kya hai nigahban dusra

uryan-tanon ke sar pe tiri khak-e-ku rahe

dar-karvan nahin sar-o-saman dusra

kiije zamir-e-khak ko aadam ki chhan agar

us shakl ka ban aave na insan dusra

ju-ul-baqar rakhe ye shaikh-e-shikam-parast

ik khvan kha kahe hai kahan khvan dusra

sair-e-ajab rakhe hai tiri jalva-gah-e-naz

is lutf ka kahan hai khyaban dusra

naqd-e-dil us ko dena hai ‘hasrat’ savab o farz

us zulf sa na hoga pareshan dusra

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dho Gai Chehron Se Gard Yas Ka Ghaza Hawa

Har ghaDi Dard Ki Shiddat Se Bilakti Aankhen

poet

Us Par to Kabhi Dil Ka Koi Zor Nahin Tha

Kyun Na Rah Pae Is Jahan Se Pare

Jina Kya Hai Pichhla Qarz Utar Raha Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet