mushtaq ba-dastur zamana hai tumhara
aane se fusun-ḳhez na aana hai tumhara
laila ki hikayat bhi hikayat hai tumhari
shirin ka fasana bhi fasana hai tumhara
is dil ki ḳhabar tum se ziyada kise hogi
andaz magar be-ḳhabarana hai tumhara
tum husn-e-mujassam ho bila-shirkat-e-ghaire
na-qabil-e-taqsim ḳhazana hai tumhara
dil men koi aa jaa.e to vapas nahin jaata
dushvar yahan se kahin jaana hai tumhara
tum se muta.assir hain na.e hon ki purane
uslub naya hai ki purana hai tumhara
kyuun raushni-o-rang se ma.amur na ho dil
sunsan sahi a.ina-ḳhana hai tumhara
samjhaya bujhaya na karo dil ko ‘shu.ur’ ab
kambaḳht ne kahna kabhi maana hai tumhara
Leave a Reply