husn ko samajhta hai ishq ham-zaban apna
hai haqiqat aisi hi ya hai ye guman apna
faash ham karen kyunkar raz-e-mudda.a-yabi
gum husul-e-maqsad men hasil-e-bayan apna
karsaz hai kitni did-o-baz-did apni
mil gaya sila ham ko ba.ad-e-imtihan apna
lutf-e-ranjish-e-beja aaj donon paate hain
muskura rahe hain vo dil hai shadman apna
un ki dil-farebi ka ye javab hai varna
mujh sa bad-guman samjhe un ko mehrban apna
karvan ke bhi milte kuchh nishan ye na-mumkin
kuchh asar to chhoḌegi yad-e-karvan apna
dard-ashna dil ko dekh kar main kahta huun
yaas de nahin sakti aas ko makan apna
bekasi ki manzil se jis ki had nahin milti
is zamin pe khinchen ham kis tarah nishan apna
kya ilaaj hai ‘manzur’ is junun-ḳhirami ka
munfa.il huun majnun ko kah ke ham-inan apna
Leave a Reply