aaj hai kuchh sabab aaj ki shab na ja
jaan hai zer-e-lab aaj ki shab na ja
kya pata phir tire vasl ki sa.aten
huun kahan kaise kab aaj ki shab na ja
chand kya phuul kya sham.a kya rang kya
hain pareshan sab aaj ki shab na ja
vaqt ko kaise tartib dete hain log
aa sikha de ye ab aaj ki shab na ja
vo sahar bhi tujhi se sahar thi ‘asad’
shab bhi tum se hai shab aaj ki shab na ja
Leave a Reply