aziim kaam karun koi ek din socha
ki rahti duniya men apna bhi naam rah jaae
magar vo kaam ho kya zehn men nahin aaya
payambari to ziyan jaan ka hai daava kya
tu jaane suuli pe chadhna ho ya chalen aare
ki zinda aag ki lapton ki nazr hona pade
khayal aaya funun-e-latifa dheron hain
sanam-tarashi hai naghmagari ki naqqashi
ye sab hi daimi shohrat ka ik vasila hain
magar na lafzon pe qudrat na rang qaabu men
phir ik zariya siyasat hai naam paane ka
alava naam ke mohre bana ke logon ko
bisat-e-arz pe shatranj khel sakte hain
magar ye fan bhi miri dastaras se bahar tha
phir aur kya ho bahut kuchh khayal daudaya
alava in ke mujhe aur kuchh nahin sujha
zamane baad samundar kinare baitha tha
aziim shai hai samundar bhi mere dil ne kaha
vo kya tariqa ho main is ka bhaag ban jaun
samajh men aaya nahin koi rasta bhi jab
to jhunjhla ke samundar men kar diya peshab
Leave a Reply