jahan men kaun kah sakta hai tum ko bevafa tum ho
ye thodi vaza-dari hai ki dushman-ashna tum ho
tabahi samne maujud hai gar ashna tum ho
khuda hafiz hai us kashti ka jis ke nakhuda tum ho
jafa-ju be-muravvat bevafa na-ashna tum ho
magar itni burai par bhi kitne khush-numa tum ho
bharosa ghair ko hoga tumhari ashnai ka
tum apni zid pe aa jaao to kis ke ashna tum ho
koi dil-shad hota hai koi nashad hota hai
kisi ke muddai tum ho kisi ka muddaa tum ho
‘zahir’ us ka nahin shikva na ki gar qadr gardun ne
zamana janta hai tum ko jaise khush-nava tum ho
Leave a Reply