mast-e-sahar o tauba-kunan shaam ka huun main
qaazi ke giraftar nit ealam ka huun main
banda kaho khadim ko chakar kaho mujh ko
jo kuchh kaho so saqi-e-gulfam ka huun main
khidmat men mujhe ishq ki hai dil se iradat
ne mo’taqid-e-kufr na islam ka huun main
yak roz halal us ko bhi main kar ke na khaya
naukar jo kharabat men do jaam ka huun main
ne fikr hai duniya ki na diin ka mutalashi
is hasti-e-mauhum men kis kaam ka huun main
yak-rang huun aati nahin khush mujh ko do-rangi
munkir sukhan-o-sher men iham ka huun main
matlub-e-dua haq men nahin apne kisu ki
talib lab-e-mahbub se dushnam ka huun main
banda hai khuda ka to yaqin kar ki butan ka
banda ye jahan be-zar-o-be-dam ka huun main
hai shisha-e-mai ainak-e-piri mujhe ‘sauda’
nazzara-kun ab sheb ke ayyam ka huun main
Leave a Reply