jab apne gham ka fasana unhen sunate hain
zamana hansta hai ham par vo muskurate hain
miri nigah se jab vo nazar milate hain
dil-e-gharib ki duniya ujaaḌ jaate hain
hamari ankhon ne har inqalab dekha hai
zamana vaale hamen kis liye Darate hain
ye kaisa jashn manate hain gulistan vaale
gulon ko toḌte hain ashiyan jalate hain
zamane vaale samajhte hain ham ko divana
tumhare husn ke jis vaqt giit gaate hain
tiri nigah men saaqi ye kaisa jaadu hai
ki be-piye hi qadam Dagmaga.e jaate hain
jo teri bazm-e-tarab men kabhi guzare the
vo lamhe ab bhi hamen roz yaad aate hain
hamare ashkon ki tabish pe hai nazar shayad
jabhi to shaam se taare bhi jhilmilate hain
vo kya bana.enge bigḌa nasib ai ‘kashfi’
jo mere hal-e-pareshan pe muskurate hain
Leave a Reply