ghir ke ghabrate na the hijr ke azaron men
jab ki taqat thi kabhi aap ke bimaron men
le ke ham dil ga.e kahte ye jafa-karon men
kaun leta hai ise itne ḳharidaron men
di riha.i mujhe sayyad ne ai vaa.e nasib
daḳhl jab fasl-e-ḳhizan ka hua gulzaron men
mere marne ka hua ranj har ik qaidi ko
ki hai kohram bapa tere giraftaron men
dast-e-nazuk se mujhe jaam diya saaqi ne
aabru baḌh ga.i ….aur aaj se mai-ḳhvaron men
atish-e-hijr se kya Dar jo tiri marzi se
raat kar denge basar loT ke angaron men
phenk dena na kahin bhuul ke hangam-e-sahar
dil bhi lipTa hai inhin sukhe hue haron men
nala-e-bulbul-e-shaida na jise phand sake
ye bulandi to nahin baagh ki divaron men
nikla vo tir-e-nigah bhi to ye kah kar nikla
mera daman na ulajh jaa.e kahin ḳharon men
yuun suna.i ga.i hai us ko ḳhabar ‘alim’ ki
mar gaya koi tire taaza giraftaron men
Leave a Reply