• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Samajhte Hain Aazmane Ko

Hum Samajhte Hain Aazmane Ko

momin-khan-momin

ham samajhte hain azmane ko

uzr kuchh chahiye satane ko

sang-e-dar se tire nikali aag

ham ne dushman ka ghar jalane ko

subh-e-ishrat hai vo na sham-e-visal

haae kya ho gaya zamane ko

bul-havas roe mere girye pe ab

munh kahan tere muskurane ko

barq ka asman par hai dimagh

phunk kar mere ashiyane ko

sang-e-sauda junun men lete hain

apna ham maqbara banane ko

shikva hai ghair ki kudurat ka

so mire khaak men milane ko

roz-e-mahshar bhi hosh gar aaya

jaenge ham sharab-khane ko

sun ke vasf us pe mar gaya hamdam

khuub aaya tha gham uthane ko

koi din ham jahan men baithe hain

asman ke sitam uthane ko

naqsh-e-pa-e-raqib ki mehrab

nahin zebinda sar jhukane ko

chal ke kaabe men sajda kar ‘momin’

chhod us but ke astane ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Raqs-E-Junun Ki Garmi-E-Tasir Dekhna

Justuju Ke Safar Mein Rahte Hain

Ibtida Dard Hai Intiha Dard Hai

poet

Thi Lagan Sunte Teri Shokhi-E-Pa Ki Aahat

fahmida-riaz

Abad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet