phir saba guzri hai dar-e-sehn-e-chaman kya kahna
ab talak kanpte hain sarv-o-saman kya kahna
zarra-e-ḳhak huun main sail-e-havadis ke liye
aur is zarre men dil shah-e-zaman kya kahna
jism ke hukm se azad ho jaan chaha tha
ruuh ke hukm se azad hai tan kya kahna
shahr viran hua gor-e-ghariban ki tarah
us pe main aur miri rangini-e-fan kya kahna
hai garan tab-e-shahidan pe mazar-o-marqad
jism ḳhun-basta hai ḳhud un ka kafan kya kahna
lek ye bhi to khule kuchh tiri niyyat kya hai
nudrat-e-fikr aur andaz-e-suḳhan kya kahna
aḳhirash sahl hua naf-o-zarar ka matlab
ab har ik chiiz pe chaspan hai saman kya kahna
ziist ik pal hai faqat dekhiye kya kijiye kya
aur is pal men bhi sad ranj-o-mehan kya kahna
is qadar ḳhauf men huun main ki na niind aave hai
kis qadar ḳhvab men hain ahl-e-vatan kya kahna
Leave a Reply