main jism o jaan ke khel men bebak ho gaya
kis ne ye chhu diya hai ki main chaak ho gaya
kis ne kaha vajud mira ḳhaak ho gaya
mera lahu to aap ki poshak ho gaya
be-sar ke phir rahe hain zamana-shanas log
zinda-nafas ko ahd ka idrak ho gaya
kab tak lahu ki aag men jalte rahenge log
kab tak jiyega vo jo ghazabnak ho gaya
zinda koi kahan tha ki sadqa utarta
aḳhir tamam shahr hi ḳhashak ho gaya
lahje ki aanch ruup ki shabnam bhi pi ga.i
‘ajmal’ gulon ki chhanv men namnak ho gaya
Leave a Reply