rasta samundar ka jab ruka hua paaya
aur bhi kinaron ko kaTta hua paaya
der tak hinsa tha main doston ki mahfil men
lauT kar na jaane kyuun dil dukha hua paaya
dhuup ne TaTola jab munjamid chaTanon ko
barf ke tale laava khaulta hua paaya
sochiye kahenge kya log aise mausam ko
jis men sabz shaḳhon ko sukhta hua paaya
mere vaste shayad ḳhat men tha vahi jumla
tez raushna.i se jo kaTa hua paaya
niind ki pari aḳhir ho ga.i ḳhafa ham se
aur koi ankhon men jab chhupa hua paaya
Leave a Reply