kis ne gham ke jaal bikhere
sub.h andhere shaam savere
is duniya men kaam na aa.e
aansu tere aansu mere
raat ki kaifiyyat yaad aa.i
shaam hui hai sub.h savere
husn ka daman phir bhi ḳhali
ishq ne lakhon ashk bikhere
mujh ko duniya se kya matlab
dil bhi mera tum bhi mere
rangin rangin ishq ki rahen
manzil manzil husn ke Dere
aaj ‘tabassum’ sab ke lab par
afsane hain mere tere
Leave a Reply