tire liye to mire paas bas dua hai yaar
tu is zamin pe bahut uncha uḌ raha hai yaar
ye khiḌkiyan to mujhe aur kah rahi hain kuchh
samajh mire dil nadan ye hua hai yaar
ye duniya-dar mujhe kis tarah se dekhte hain
ki ye bashar hai farishta hai devta hai yaar
agar ye shauq nahin hai to kya hai batla de
tu kis liye mujhe khiḌki se jhankta hai yaar
tu jis ko DhunD raha hai tujhe milega nahin
vo shaḳhs mujh se kahin kab ka ja chuka hai yaar
ye tirgi ki hain ankhen ki hijr ki lau hai
jo jal raha hai vahan samne diya hai yaar
tu jaana chahta hai to tujhe ijazat hai
magar pata to chale main ne kya kaha hai yaar
Leave a Reply