asiran-e-qafas aisa to ho tarz-e-fughan apna
ki ho sayyad khud bhi rafta rafta ham-zaban apna
kiye ja kaam haan ai gardish-e-daur-e-zaman apna
hamen bhi dekhna hai kaise mitta hai nishan apna
adu hain bijliyan apni na dushman asman apna
hamen khud apne hathon phunkte hain ashiyan apna
na kho de sust-gami ham ko bazi-gah-e-hasti men
na gard-e-karvan rah jaae ban kar karvan apna
chaman ke patte patte par hain yarab bijliyan qabiz
kahan le jaaen murghan-e-chaman ab ashiyan apna
urus-e-manzil-e-maqsud mil hi jaegi ik din
yunhi chande raha garja vo paima karvan apna
jala den ham qafas ki titliyan shoala-navai se
har ik murgh-e-chaman ‘asi’ agar ho ham-zaban apna
Leave a Reply