tire taqazon pe chehre badal raha huun main
na.e zamane tire saath chal raha huun main
charagh-e-aḳhir-e-shab huun magar abhi suraj
sukun se tu nikalna ki jal raha huun main
ye chahta huun ki har ruḳh se dekh luun duniya
ye zaviye jo nazar ke badal raha huun main
na.i hava.en abhi sab gharon tak aa.i nahin
abhi to haath ka pankha hi jhal raha huun main
mire nashe mujhe ab laḌkhaḌane mat dena
sharab-ḳhane se bahar nikal raha huun main
zara sa vaqt hai aur duur meri manzil hai
isi liye to bahut tez chal raha huun main
Leave a Reply