• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Talak Dil Imam Tha Hi Nahin

Jab Talak Dil Imam Tha Hi Nahin

jab talak dil imaam tha hi nahin

koi aali maqam tha hi nahin

mustaqil ek be-sabati hai

kuchh yahan par mudam tha hi nahin

aao us ka ḳhitab sunte hain

vo jo mahv-e-kalam tha hi nahin

chalte chalte main aa gaya huun yahan

varna tujh se to kaam tha hi nahin

pi raha tha main us ki ankhon se

mai-kade men to jaam tha hi nahin

apni apni namaz thi sab ki

masjidon men imaam tha hi nahin

vo bhi dil ke pate pe aaya hai

ḳhat hamare jo naam tha hi nahin

main musafir tha apni rahon ka

raston ka ghulam tha hi nahin

roz jalta tha taq-e-jan men ‘sahar’

aur phir ek shaam tha hi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Phir Aaya Jam-Ba-Kaf Gul-Ezar Ai Waiz

poet

DhunDhti Hai Iztirab-E-Shauq Ki Duniya Mujhe

ambarin-salahuddin

Koi Ehsas Mukammal Nahin Rahne deta

poet

Ab Apni Zat Ka Irfan Hone Wala Hai

poet

Ashk-E-Gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet