mahzun na ho ‘huzur’ ab aata hai yaar apna
karta hai fazl tujh par parvardigar apna
jab se gaya vo mah-ru aghosh se hamari
rahta hai jyuun mah-e-nau ḳhali kanar apna
zulf-o-ruḳh-e-sanam ke gham men sada rahe ham
guzra hamesha yuun hi lail-o-nahar apna
ai be-ḳhudi-e-mai tu aa dosh par uTha le
uThta nahin mujh se ab bojh-bhar apna
mahbub hain jahan tak nahin ashna kasu ke
hote nahin hain apne kiije hazar apna
kahne se sher ke kuchh hasil nahin magar haan
ye hai ki ba.ad apne ho yadgar apna
azurda kuchh hain shayad varna ‘huzur’ mujh se
kyuun munh phula raha hai vo gul-ezar apna
Leave a Reply