bala hi ishq lekin har bashar qabil nahin hota
bahut pahlu hain aise bhi ki jin men dil nahin hota
nishan-e-be-nishani miT nahin sakta qayamat tak
ye naqsh-e-haq jafa-e-dahr se batil nahin hota
jahan men na-umidi ke siva ummid kya ma.ani
sabhi kahte hain lekin dil mira qaa.il nahin hota
taḌapna kis ka dekhoge jo zinda hon to sab kuchh ho
bala-e-ishq ka maara kabhi bismil nahin hota
sada.en de raha huun muddaton se ahl-e-marqad ko
sabhi sote hain lekin yuun koi ghafil nahin hota
sarishk-e-gham ki had sham-o-sahar men mil nahin sakti
umanDte hain jo ye dariya to phir sahil nahin hota
dua de ishq ko ai zulm tu bhi zeb-e-pahlu hai
vagarna kaisa hi paikan ho lekin dil nahin hota
faramoshi hai lekin yaad rakhta hai tire dar ko
dar-e-aghyar par ‘saqib’ kabhi saa.il nahin hota
Leave a Reply