samundar tishnagi vahshat rasa.i chashma-e-lab tak
ye saara khel in ankhon se dekha tere kartab tak
tamasha-gah-e-duniya men tamasha.i rahe ham bhi
sahar ki aarzu ham ne bhi ki thi jalva-e-shab tak
na jaane vaqt ka kya faisla hai der kitni hai
ghaḌi ki suiyan bhi ho chuki hain muzmahil ab tak
kabhi fursat mili to asman se ham ye puchhenge
rahega tu hamare sar pe yuun hi mehrban kab tak
ḳhuda jaane kahan tak kamyabi haath aa.i hai
ki apni baat to pahuncha chuka apne muḳhatab tak
Leave a Reply