• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Taq Mein Kaun Rakh Gaya Ek Diya Aur Ek Phul

Taq Mein Kaun Rakh Gaya Ek Diya Aur Ek Phul

taaq men kaun rakh gaya ek diya aur ek phuul

dhyan men phir se jal uTha ek diya aur ek phuul

mere tumhare darmiyan qatra-e-ashk ra.egan

pichhli ruton ka saneha ek diya aur ek phuul

ḳhvab hi ḳhvab men kaTi umr tamam jal bujhi

tera kaha mira suna ek diya aur ek phuul

sham-e-firaq ki qasam aur to kuchh na paas tha

tere liye bacha liya ek diya aur ek phuul

bam-e-murad tak mire haath na ja sake magar

der talak jala kiya ek diya aur ek phuul

teri udaas aankh se mere ḳhamosh honT tak

harf-e-visal kya hua ek diya aur ek phuul

jashn ki raat jab tire naam pe log chup se the

main ne yunhi uTha liya ek diya aur ek phuul

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nikalo Koi to Surat Ki Tirgi Kam Ho

poet

Apni Marzi Ka ruKH Main Apnaun

ahsan-marahravi

Sang-e-dar Ban Kar Bhi Kya Hasrat Mere dil Mein Nahin

asrarul-haq-majaz

Barbat-E-Shikasta

Rind-E-KHarab-Haal Ko Zahid Na chheD Tu

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet