sahil pe ab charagh farozan hue to kya
gharqab ham ko kar ke ye saman hue to kya
be-rang-o-bu hai daman-e-ahl-e-chaman abhi
qatre lahu ke sarf-e-baharan hue to kya
be-kar hai bahar jo aa.e na vaqt par
gar mere ba.ad aish ke saman hue to kya
ham but-kade men rah ke bhi iman-parast hain
vaa.iz haram men rah ke musalman hue to kya
gar la-ilaj ho gaya dard-e-dil-e-figar
phir charasaz ma.il-e-darman hue to kya
mathe pe to kalank ka Tiika hai aaj tak
ham ko miTa ke log numayan hue to kya
ḳhvabida ab bhi nazren hain be-his hai ab bhi dil
na ashna-e-soz ghazal-ḳhvan hue to kya
daman se ḳhuun dil ko banana tha rashk-e-gul
minnat-kash-e-bahar-e-gulistan hue to kya
‘kashfi’ miTa sake na magar zulmat-e-nasib
aansu hamare zinat-e-mizhgan hue to kya
Leave a Reply