• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shikasta-Haal Sa Be-Asra Sa Lagta Hai

Shikasta-Haal Sa Be-Asra Sa Lagta Hai

obaidullah-aleem

shikasta-hal sa be-asra sa lagta hai

ye shahr dil se ziyada dukha sa lagta hai

har ik ke saath koi vaqia sa lagta hai

jise bhi dekho vo khoya hua sa lagta hai

zamin hai so vo apni gardishon men kahin

jo chand hai so vo tuuta hua sa lagta hai

mere vatan pe utarte hue andheron ko

jo tum kaho mujhe qahr-e-khuda sa lagta hai

jo shaam aai to phir shaam ka laga darbar

jo din hua to vo din karbala sa lagta hai

ye raat kha gai ik ek kar ke saare charagh

jo rah gaya hai vo bujhta hua sa lagta hai

dua karo ki main us ke liye dua ho jaun

vo ek shakhs jo dil ko dua sa lagta hai

to dil men bujhne si lagti hai kaenat tamam

kabhi kabhi jo mujhe tu bujha sa lagta hai

jo aa rahi hai sada ghaur se suno us ko

ki is sada men khuda bolta sa lagta hai

abhi kharid len duniya kahan ki mahngi hai

magar zamir ka sauda bura sa lagta hai

ye maut hai ya koi akhiri visal ke baad

ajab sukun men soya hua sa lagta hai

hava-e-rang-e-do-alam men jagti hui lai

‘alim’ hi kahin naghma-sara sa lagta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-faraz

Jab Har Ek Shahr Balaon Ka Thikana Ban Jae

Ab Teri Yaad Se Wahshat Nahin Hoti Mujhko

Pyar Ka Pahla KHat Likhne Mein Waqt to Lagta Hai

poet

dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum

Ajab Si Bad-Hawasi Chha Rahi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet