apni qismat ka sitara sar-e-mizhgan dekha
aaj ham ne asar-e-jazba-e-pinhan dekha
ab kise DhunD rahi hai nigah-e-naz bata
hasil-e-jaur mire zud-pasheman dekha
jo satata hai vahi dil men jagah paata hai
ye mohabbat men na.i tarz ka arman dekha
ab ye shikva hai vo pahli si ghaTa.en hi nahin
ham na kahte the na kar zulf-e-pareshan dekha
shikva asan tha ab us ki pashemani hai
kin nigahon se tumhen sar-ba-gareban dekha
apne marne ka nahin gham ye malal aata hai
kyuun zamane ne tumhen bal-e-pareshan dekha
raat aati hai to kha kar usi gesu ki qasam
ham ne ‘talib’ ka muqaddar shab-e-hijran dekha
Leave a Reply