ruuh men masti bhar deta hai
ishq qalandar kar deta hai
koi mohabbat men dil apna
koi apna sar deta hai
sab ko miTTi karne vaala
kisi kisi ko par deta hai
main ne dekha bin mange vo
sab ki jholi bhar deta hai
ab bhi shaḳh pe aa kar koi
mujh ko meri ḳhabar deta hai
dasht diya hai jis ne ‘jazib’
dekhen kab vo ghar deta hai
Leave a Reply