puchhega jo vo rashk-e-qamar haal hamara
ai ‘mehr’ chamak jaega iqbal hamara
saude men tiri zulf ke likhte hain jo ashar
hota hai siyah nama-e-aamal hamara
abru ka ishara kiya tum ne to hui iid
ai jaan yahi hai mah-e-shavval hamara
har baar dikhata hai junun khana-e-zanjir
is ghar men guzara hua har saal hamara
aate hi vo kahte hain ki jaate hain bas ab ham
be-chain hain mangvaiye sukh-pal hamara
mazmun na bandha mu-e-kamar ka to vo bole
tedha na hua shairon se baal hamara
mahtab se kahta hai mira chand ka tukda
rukhsar tira saaf hai ya gaal hamara
tum arsh hilate ho qadam rakh ke zamin par
is chaal se dil ho gaya pamal hamara
ik pal bhi juda dida-e-tar se nahin hota
ab aankh ka parda hua rumal hamara
yaan ruuh pe hota hai us avaz ka sadma
ji lega shab-e-vasl men ghadiyal hamara
yaan ganj-e-maani hai to vaan sim-o-zar ai ‘mehr’
daulat vo bakhilon ki hai ye maal hamara
Leave a Reply