• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Tirgi Ke Liye Hain Na Raushni Ke Liye

Na Tirgi Ke Liye Hain Na Raushni Ke Liye

na tirgi ke liye hain na raushni ke liye

shab-o-sahar ke taqaze hain bandagi ke liye

hamara ḳhuun bhi hazir hai ai ḳhirad-mando

tumhare daur ki be-kaif zindagi ke liye

savad-e-sham to hai aam bazm-e-fitrat men

magar tulu-e-sahar hai kisi kisi ke liye

rah-e-talab men andheron ko kosne vaalo

kisi ne dil bhi jalaya hai raushni ke liye

kuchh aa.ine bhi tiri anjuman men TuuTe hain

tire labon ke tabassum tiri ḳhushi ke liye

faqih-e-shahr se mera salam kah dena

ki zindagi bhi ibadat hai zindagi ke liye

rida-e-bint-e-inab ban ga.i bisat-e-nujub

ye ehtimam hai ‘raje’ kis aadmi ke liye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hum Mai-Kashon Ke Qadmon Par Akasr

Jis Ko Qarib Paya Usi Se lipaT Gae

Tere Huzur Jo Do-Chaar Din Guzar Aaya

poet

KHayalat Rangin Nahin Bolte Usko Jyun Bas Phulon Ke Rangon Mein Rahiye

Sukun Paya Tabiat Ne Na Dil Ko Hi Qarar Aaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet