ham jo pahunche sar-e-maqtal to ye manzar dekha
sab se uncha tha jo sar nok-e-sinan par dekha
ham se mat puchh ki kab chand ubharta hai yahan
ham ne suraj bhi tire shahr men aa kar dekha
aise lipTe hain dar-o-bam se ab ke jaise
hadson ne baḌi muddat men mira ghar dekha
ab ye socha hai ki auron ka kaha manenge
apni ankhon pe bharosa to bahut kar dekha
ek ik pal men utarta raha sadiyon ka azaab
hijr ki raat guzari hai ki mahshar dekha
mujh se mat puchh miri tishna-labi ke tevar
ret chamki to ye samjho ki samundar dekha
dukh hi aisa tha ki ‘mohsin’ hua gum-sum varna
gham chhupa kar use hanste hue aksar dekha
Leave a Reply