Ro Kar Nasib-E-Ishq Ko Barsat Bhi Gai

ro kar nasīb-e-ishq ko barsāt bhī ga.ī

bhaḌkā ke aag bhīgī huī raat bhī ga.ī

le ḳhud-nigar chale tirī mahfil se uTh ke ham

tujh se to mil ke ishq kī auqāt bhī ga.ī

kuchh aap mast-e-nāz the kuchh ham ġhayūr the

thoḌī bahut jo thī vo mulāqāt bhī ga.ī

kyā jaane kis umiid pe hai intizār ab

hālāñki vo umīd-e-mulāqāt bhī ga.ī

murjhā chalā hai āḳhrī taarā bhī ai ‘shahāb’

so jā.iye ab aap ki ye raat bhī ga.ī

Leave a Comment