tu agar dil men ek baar aa.e
umr bhar ke liye qarar aa.e
ashiyana hi gulsitan men nahin
ab ḳhizan aa.e ya bahar aa.e
vo na aa.en to ai dam-e-aḳhir
lab pe naam un ka baar baar aa.e
maut ne aasra diya bhi to kab
jab musibat ke din guzar aa.e
yaas kahti hai kuchh tamanna kuchh
kis ki baton pe e’tibar aa.e
ye to kuchh talḳh thi mire saaqi
ab jo aa.e vo ḳhush-gavar aa.e
us ko tera payambar samjhun
maut agar vaqt-e-intizar aa.e
‘arsh’ vo be-qarariyan na rahin
dil ko ab kis tarah qarar aa.e
Leave a Reply