pinhan tha ḳhush-nigahon ki didar ka maraz
band aankh jab hui to hamara khula maraz
be-dar-o-visal na ye ja.ega maraz
sach hai firaq-e-yar ka hai jan-guza maraz
kya bad-bala hai ishq-e-kuhan-sal ka maraz
hota hai naujavan ko ye barha maraz
mohlik tha kaisa un ki mulaqat ka maraz
baḌhte hi un se rabt mira ghaT gaya maraz
kya janen kaun rog hai ishq-e-bala-e-jan
saaya hai koi ya ki jhapaTTa hai ya maraz
iisa ke paas bhi koi is ki dava nahin
kahte hain jis ko ishq vo hai maut ka maraz
va.ada visal ka na koi sach kiya kabhi
tum ko bhi jhuuT bolne ka ho gaya maraz
a.ina-ru jahan koi dekha phisal gaya
aage hamare dil ko to aisa na tha maraz
buqrat kya masih bhi dekhen to den javab
tere mariz-e-ishq ka hai la-dava maraz
danton pe shefta the hue ab fida-e-lab
tha rog ek to ye hua dusra maraz
aram dard-e-ishq se dil ko kamal hai
sehat se bhi aziiz mujhe hai siva maraz
vaqif hain ham natija-e-azar-e-ishq se
be-gaur ke jhanka.e to ye ja chuka maraz
ulfat ke aarzi ki dava hai ajal ke paas
jaate hue kabhi nahin aisa suna maraz
kya kya taras taras ke nikalti hai jan-e-zar
is ishq ka hai sab marazon se siva maraz
dil ko hamare ulfat-e-ariz hai aarzi
kya ai ‘qalaq’ raha hai kisi ka sada maraz
Leave a Reply