• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Rashk-E-Wasl Se Gham-E-dildar Hi Bhala

Hai Rashk-E-Wasl Se Gham-E-dildar Hi Bhala

poet

hai rashk-e-vasl se gham-e-dildar hi bhala

rahat se aisi ham ko vo dil-azar hi bhala

duniya men yaaro yar-e-vafadar hi nahin

aur jo na ho to rahna hai be-yar hi bhala

maashuq ka nazara mayassar ho ya na ho

ashiq hamesha talib-e-didar hi bhala

zaari pe meri rahm bhi kar aa khuda ko maan

kafir rahega ham se tu bezar hi bhala

atvar-e-bad hai ghair se khulta mire huzur

is ke evaz na kar tu hamen pyaar hi bhala

zakhmon se gham ke tera kaleja to chhil gaya

bulbul hai aise gul se tujhe khaar hi bhala

ik jura dard-e-mai pe ho itna na talkh-o-tund

saaqi main aise mast se hoshyar hi bhala

‘hasrat’ bura kiya main uthaya dil us se kyuun

dildar gar na tha to dil-azar hi bhala

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hain Ahl-E-Nazar Yahan Pe Sabhi Ghalat Koi Kaam Ho Na Sake

poet

Izzat Unhen Mili Wahi aaKHir baDe Rahe

muneer-niyazi

Ghairon Se Mil Ke Hi Sahi Be-Bak To Hua

Junun Ke Josh Mein Insan Ruswa Ho Hi Jata Hai

dua-ali

Tu Shah Mera Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet