kab ghair hua mahv tiri jalvagari ka
tu puchh mire dil se maza be-ḳhabari ka
sauda jo gul-o-lala ko hai jeb-dari ka
adna ye shagufa hai nasim-e-sahari ka
kis ne lab-e-bam aa ke dikhaya ruḳh-e-raushan
ḳhurshid men hai rang charagh-e-sahari ka
apni ye ghazal hai ki paristan-e-suḳhan hai
parvaz-e-mazamin men hai andaz pari ka
kuchh kam nahin nazuk mire mazmun-e-kamar se
shohra hai baja yaar ki nazuk-kamari ka
ik raat bhi ai maah na jaagi miri qismat
sunta tha bahut shor dua-e-sahari ka
jis ne mujhe agah kiya hal-e-jahan se
kya lutf jamadat ko hai be-ḳhabari ka
ghurbat men mila lutf kahin baḌh ke vatan se
hasil jo hua tujh se maza ham-safari ka
us maah ki mahfil men jo hai qahqaha-zan aaj
hota hai bat-e-mai pe guman kabk-e-dari ka
qur.an kahe deta hai ki ham haq ki zaban hain
hota hai juda taur kalam-e-bashri ka
aadam ki to maan bhi na thi ai munkir-e-e.ajaz
iisa ko mila sirf sharaf be-pidri ka
sarv-e-qad-e-dilbar ki jo tasvir hai dil par
ham-sang nahin la.al-e-aqiq-e-shajari ka
ankhen hain hasinon ki tire sabza-e-ruḳh par
kyunki na ho mailan ghazalon ko chari ka
chal tu bhi ‘asar’ le ke mata-e-dil-e-betab
vo dekhne jaate hain tamasha guzari ka
Leave a Reply