• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chhup Ke Ghar Ghair Ke Jaya Na Karo

Chhup Ke Ghar Ghair Ke Jaya Na Karo

poet

chhup ke ghar ghair ke jaaya na karo

rabt har ik se baḌhaya na karo

ai buto baal banaya na karo

saanp hathon pe khelaya na karo

sabza-e-ḳhat ko dikhaya na karo

tote hathon ke uḌaya na karo

rind gham hijr ka khaya na karo

jaan ko apni khapaya na karo

tazkira ghair ka laaya na karo

jale ko aur jalaya na karo

munh ko ghunche ke chiḌaya na karo

gul ko khilli men uḌaya na karo

mudda.a jo ho zaban se kaho saaf

harf-e-matlab ko chabaya na karo

apna samjho mira dil shauq se lo

meri jaan apna paraya na karo

mujh ko bhi yaad hain fiqre sahib

joḌ bande pe banaya na karo

ḳhud main dam-baz huun hai dhyan kidhar

mujh ko fiqron men uḌaya na karo

hosh men aao pari-zado tum

mujh ko divana banaya na karo

ham lahu thuuk ke mar ja.enge

laali honTon pe jamaya na karo

log sauda.i hue jaate hain

dhaḌi missi ki lagaya na karo

ho na angusht-numa misl-e-hilal

jaan nauchandi men jaaya na karo

ai buto apne ḳhuda ko maano

ka.aba-e-dil ko to Dhaya na karo

main to hazir huun vafadari men

tum karo mujh se vafa ya na karo

dhoke dariya men bhabuka se haath

aag paani men lagaya na karo

mujh se ḳhalvat ki mulaqat rahe

roz jalvat men bulaya na karo

vaste bande ke bad-nami hai

jaan sohbat men biThaya na karo

dekhne valon ki janib dekho

is tarah aankh churaya na karo

sharm beja hai bura karte ho

achchhi surat ko chhupaya na karo

jaao dariya pe na tum ghair ke saath

aise menDhe to laḌaya na karo

daant piisa na karo ashiq par

jaan yuun honTh chabaya na karo

chaar din vasl men hans lene do

aaTh aaTh aansu rulaya na karo

log bad-vaza.a kahenge tum ko

mele-Thele kabhi jaaya na karo

jaan kis kaam ka ye bhola-pan

dam men har ek ke aaya na karo

ashiqon ki buri gat hoti hai

tum sitari to bajaya na karo

hazrat-e-dil yahi farmate hain

ishq-e-ma.ashuq chhupaya na karo

ḳhush nahin aata agar mera kalam

to ghazal bhi miri gaaya na karo

thamo ab qabza-e-shamshir ai ‘rind’

koft par koft uThaya na karo

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Bala Jaane Kisi Ki Hijr Mein Is dil Pe Kya Guzri

Lab Pe Harf-E-Motabar Rakhta Hai Wo

Main Sab Kuchh an-Dekha Karne Lagta Hun

Ye Kaise Jaanta Gar Shahr Mein Aaya Nahin Hota

Har shaKHs Ko Aise Dekhta Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet