milne ka nahin rizq-e-muqaddar se siva aur
kya ghar men khuda aur hai ghurbat men khuda aur
tum samne aate ho to chhupte ho siva aur
parde ki haya aur hai ankhon ki haya aur
kuchh aag lagaega nai shola-e-rukhsar
kuchh rang dikhaega tira rang-e-hina aur
insan vo kya jis ko na ho paas zaban ka
ye koi tariqa hai kaha aur kiya aur
aa pahunche hain manzil ki navahi men ‘zahir’ ab
haan pa-e-talab hariyo himmat na zara aur
Leave a Reply