qatil-e-alam se kya yarana hai
dil charagh-e-gor ka parvana hai
har makan men jalva-e-janana hai
ashiqon ka har jagah afsana hai
chhin lega bahr-e-zulf-e-ambarin
ye dil-e-sad-chak rashk-e-shana hai
log kahte hain jise pir-e-mughan
yaar ka kya jalva-e-mastana hai
halqa-e-ada men hai vo sim-bar
ganj hai jis ja vahan virana hai
jis jagah chalte the kal jam-e-sharab
aaj vaan ulta hua paimana hai
baiat-e-dast-e-subu se ye khula
sab se behtar mashrab-e-rindana hai
kyuun na phanse daulat-e-duniya hamen
hai vahan par daam jis ja daana hai
mard-e-akhir-bin ke aage munimon
kasrat-e-hasti bhi ik virana hai
kaam kya hai us ko mulk-o-mal se
paas jis ke himmat-e-mardana hai
hijr men ashk-e-musalsal zahida
ashiqon ka subha-e-sad-dana hai
‘muntahi’ zer-e-qadam us yaar ke
sar katana sajda-e-shukrana hai
Leave a Reply