kapḌe apne ghar ke hain
dhabbe duniya-bhar ke hain
bahar koi chiiz nahin
saare Dar andar ke hain
kaise kaise dukh dekhe
kya kya aib hunar ke hain
masjid to banva li thi
patthar sab mandar ke hain
dekhen kaisa din nikle
badal to kuchh sarke hain
manzil pa lene ke ba.ad
jhagḌe rah-guzar ke hain
shahron men ab log kahan
sab baabu daftar ke hain
Leave a Reply