zehn ashkal ko zanjir nahin kar paaya
main mukammal koi tasvir nahin kar paaya
meri miTTi men gundhe jauhar-e-taḳhrib ki ḳhair
vaqt ab tak mujhe ta.amir nahin kar paaya
janta huun ki mohabbat hai jahangir magar
main mohabbat ko jahangir nahin kar paaya
vaqt ko main ne guzara hai azal se ab tak
phir bhi main vaqt ki tafsir nahin kar paata
zindagi ek ajab ḳhvab hai ‘akash’ jise
koi sharminda-e-ta.abir nahin kar paaya
Leave a Reply