• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gir Pada Tu Aakhiri Zine Ko Chhu Kar Kis Liye

Gir Pada Tu Aakhiri Zine Ko Chhu Kar Kis Liye

afzal-minhas

gir pada tu akhiri ziine ko chhu kar kis liye

aa gaya phir asmanon se zamin par kis liye

aina-khanon men chhup kar rahne vaale aur hain

tum ne hathon men utha rakkhe hain patthar kis liye

main ne apni har masarrat dusron ko bakhsh di

phir ye hangama bapa hai ghar se bahar kis liye

aks padte hi musavvir ka qalam tharra gaya

naqsh ik ab-e-ravan par hai ujagar kis liye

ek hi fankar ke shahkar hain duniya ke log

koi bartar kis liye hai koi kam-tar kis liye

khushbuon ko mausamon ka zahr piina hai abhi

apni sansen kar rahe ho yuun moattar kis liye

itni ahmiyat ke qabil to na tha mitti ka ghar

ek nuqte men simat aaya samundar kis liye

puchhta huun sab se afzal koi batlata nahin

bebasi ki maut marte hain sukhan-var kis liye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

gulzar

Sham Se Aankh Mein Nami Si Hai

Main Jo Kuchh Sochta Hun Ab Tumhein Bhi Sochna Hoga

sara-shagufta

Sae Ki Khamoshi

qateel-shifai

Kahun Kya Fasana-E-Gham Use Kaun Manta Hai

akbar-allahabadi

Khushi Hai Sab Ko Ki Operation Mein Khub Nishtar Ye Chal Raha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet